Wednesday, 6 February 2013

Preshaan....


Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil,
Magar apni maryada mein simat kar reh jata hai dil..

Bahut bar kosish ki tumse dur jane ki,
Hamesha ke liye tumhe bhul jane ki,
Beshaq hai mera lekin ab dhakdta to tere liye hai dil..
Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil..

Kisko pta tha aisi batein bnegi,
Chalte chalte safar main hi manzil milegi,
Tham lo hath, anjaan rahon mein na bhatkna chahta hai dil..
Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil..

Kyu aap sab kuch keh kar kuch na kehte ho,
BhagwanG jane kis uljhan mein ulje rehte ho,
Magar muje malum hai tadpta mere liye bi hai tera dil..
Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil..

Pyar ko alfazo main byaan krna shayad muje aache se nhi ata,
Ab toh mujse jankar anjaan bhi nhi bana jata..
Kyuki mere dil ki har bat janta hai tera dil..
Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil..

Kab yeh kahaniya purì ho payengi ,
Kb fir teri meri rahein mil payengi, nhi janti hu...
Fir bhi ek umeed mein jeeta hai mera dil..
Kbhi kbhi kitna kuch kehna chahta hai dil..

Bhul kar yeh jahan, bahon mein teri kho jana chahta hai dil,
Magar fir apni maryada main simat kr reh jata hai dil...